Business chalana koi asaan kaam nahi aur use profitable banana aur bhi mushkil. In mushkilon ke peeche ka sach yeh hai ki legal, tax, aur accounting ke concepts samajh aur parakh ke bahar hoti hai. Yeh subjects school mein padhaye nahin jaate. Aur inko vistaar me samajhne ka humare paas time nahi hota.
Yehi gap fill karne ke liye maine apne classes shuru kiye. Meri journey start hui 2 students aur GST, tax filing and law ke barikio ko cover karne wali ek syllabus ke saath. Aaj mere pass 750+ students padhne atey hai aur mere Youtube tutorials channel pe karib 34000+ followers hai. Mera mantra ye hai – education aisa ho ki naushikiye se students tax ke expert ban jaaye.
CA se lekar, CMA, Advocates, GST practitioners sab log mere courses karke apna concepts mazboot karte hain.
Tax, GST aur law – yeh technology jaise hain. Zyadatar hum inse darr ke door bhagte hai. Par ek baar jo koi mere classes karta hai, unhe ye concepts kaafi zabardast lagte hai. Mujhe logon tak yeh message pahuchana hai ki woh bhi, mere tutorials, books aur courses ke zariye, tax aur GST ke ustad ban sakte hai.
Log mujhe GST guru bulate hai. Par mein sirf woh zariya hoon jisse sab finance aur tax ke vishay mein antmanirbhar ban sakte hain.
Feeling inspired by the Mojo Stars?
Join the league of extraordinary entrepreneurs. Start your online
business journey with Instamojo today!